Wednesday, March 23, 2016

Phir Milenge

Na hum kuch keh sake, na hum kuch sun sake,
Ha.n bas waqt kaTta gaya, sooyi ki dhadkan sunte rahe,

Aise aana bhi kya aana, jo palo.n ko samet na sake,
Yeh do boond ki baarish, na garmi kami, na pyaas bujhi,

Na aate to acha hota, yeh soonapan to nahin hoti,
Do niwale nahin khaate, to shaayad bhook nahin badhti.

Chalo aajko bhool kar, puraani guftagoo suru kare.n
yadon mein koi paabandi nahin, na waqt ki, na phursat ki.

Waqt nahi.n rukta, chalo apni manjil ki aur chale.n,
phir milenge, bheed mein gumnaam manjil par kabhi.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home