Thursday, July 23, 2009

Kya yakin hei?

Kuch dinose meine tumse theekse baat nahin ki,
Kya yakeen karogi ki mere jehan mein tumhare siva koi nahin?

Kuch dinose tumhe theek se dekha tak nahin,
Kya yakeen karogi ki ankhon ke saamne tumhare siva koi nahin?

Kuch dinose meine tumhari bahut ki hei pitaayis,
Kya yakeen karogi ki dil mein tumhaare liye chaahat hei bhari?

Kal Gum-naam raat kisi aur ke saath meine beetayi,
Kya yakeen karogi ki phir bhi mere pyaar mein kami nahin aayi?