Saturday, May 28, 2011

Apni apni kismat.

tune mujh zaahid ko chod pyaar ik kaafir se kiya,
bad kismati nahin to kya hei, woh kaafir mein na tha.

meine masnad per bithaaya par tune raqeeb ka saath diya,
bad kismati nahin to kya hei, woh muflis mein na tha.

pyaar se tujhe kya matlab, tune us amir ka saath diya,
bad kismati nahin to kya hei, woh musroof mein na tha.

mere seeneh ko chod tune khanjar peeth mein bhok diya,
dil ki bad kismati dekhiye, woh Gumnaam seeneh me tha.



(zaahid = religious, kaafir = non-believer, masnad = throne, muflis = destitute, masroof = busy, seeneh = chest, khanjar = dagger, bhok = pierce)