Friday, November 06, 2009

Rahi ki chaahat

Mein pahunchna chahta hun, door... digant,
na koi seema hei, khushiyan hein anant
sapnon mein dekha hei meinse use
sapne sachh honge, armaano ko milegi sanse.

Nazrone us hariyaali ko dekha hei
Sasone use mehsoos kiya hei.
mera tan yahan hei to kiya hua,
mera man to kabse hei wahan basa hua.

Meine dil mein tey kar liya hei,
Ab sirf kadam uthaana baaki hei,
Meine apni manzil tey kar li hei.
Ab sirf raasta chunna baaki hei.

Binti hei prabhu se,
sahi rah aur usme roshni de ,
Gumnaam kashmakash ko,
faisle ki majbooti de.