Tuesday, June 07, 2011

Baazi hei to kya.

Aaj meine ek aur baazi khela apni jindegi se,
jeetne ki chaah to hei, par haren to karen kya?

khel to hui khatam par jeet haar ki khabar nahin
keh reh hein log mere patte bade ache hein, nahin to kya?

Kismat ki aas le meine liya hei bahut udhaar,
jitun baaji to sare karz muaf ho, nahin to kya?

Khel bhi bada niraala hei, ankhon mein hei paTTi,
baaji kheli us allah ke naam par, woh nahin to kya?

Ismein bhi ek maza hei, nahnisi sahi aas hei,
be-dar baazi khele ji-zaan se, kaun jane hoga kya?

Kashmakash hei, ab patte khol ne ki hei baari,
Jeet hei, haar hei, Gumnaam hei, aur kya?

(baazi = gamble, udhaar = borrowings, karz = debt, niraala = unique, paTTi = ribbon, nahnisi = small, be-dar = fearless, kashmakash = confusion, Gumnaam = unknown)