Ek chaatak ki kahani (a poem)
Kaafi dino se baarish nahin hui,
Mein baadlon se khafa khafa si hun.
Aankhon mein aasu, nason mein khoon,
dono ki kami saaf mehsoos kar rahi hun.
Eisi kya berukhi, apno se milne na aao,
pankh bichaye tera raah tak rahi hun.
aa bhi ja, teri chahne walon ki sun,
aas se muh khole guftagu ke liye betaab hun.
aaja abhi pankh thak ne lage, aas tham ne lagi,
ye sahara khoon ko paseena kar de, darti hun
jaao jaao humne dekhli tumhaari wafa
aaj se tumhaari hamaari katti, mein kehti hun.